Dhokha Shayari in hindi urdu punjabi .

Dhokha Shayari in hindi urdu punjabi.

Bestofshayari presensts Dhokha shayari for cheating girlfriend,sms and messages when she cheats you specially for dhokebaaz ladki or girl.


Dhoka Shayari

 

Pehle taraasha kaanch se us ne mera wajood,

Phir sheher bhar ke hath mein pathar thamaa diye.

 

Dhokha Shayari in hindi urdu punjabi .
Dhokha Shayari in hindi urdu punjabi .

 

Apne yaaron ki tabiyat se shanasaa hoon Asad,

Ab taluq pe mujhe waar diya jaye ga.

 

 

Us Shakhs Se Mil Kar Mujhe Ehsaas Hua Hai,

Jo Pairr Bare Hote Hain Saya Nahin Karte..

 

(pairr;trees)

 

 

Ab Bhi Baaki Hai Tumhare Dil Mein Thora Sa Khuloos,

Is Se Pehle Bhi Humain Yehi Dhoka Hua..

 

 

Hoslay hi Jawab Dainay lagay,

Is Qadar Us nay Aazmaya Mujhy ….!!!!

 

 

Tarteeb-E-Sitam Ka Bhi Saleeqa Tha Usay,

Pehle Pagal Kiya Aur Phir Mujhe Pathar Maaray…

 

 

Umeedon ke saharey jee kar khud ko dhoka deta hoon,

Teri yaad mein jal kar rooh ko aziyat deta hoon,

 

Parwaah nahin karta koi kya samajhta hai mujhe,

Koi maange nafrat bhi, Tou mohabbat lazawaal deta hon,

 

Har baar ishaarey deti hai woh judai ke,

Har baar mein muskuraa ke taal deta hoon,

 

Aa chal thaam le ab tu mera hath,

Tere naam ko mein apna naam deta hoon,

 

Torra nahin aik muddat se ab kisi ka dil bhi,

Koi maange sath to dil mein jagha deta hoon,

 

Daur-e-wasl mein yeh naubat aagayi hai Husnain,

Apne hathon ko tere hathon se mila deta hoon..

 

Mirza Hussnain Azam

 

 

Bhool Jaana Tou Sub Ko Aata Hai,

Kuch Tou Dunya Se Munfarid Kartay !!

 

 

Mery mehboob ne wada kia hai panchve'n din ka,

kisi se sun kiya hoga ye duniya chaar din ki hai..!

 

(panchve'n:fifth)

 

 

Lehron se khailna to sagar ka shoq hai,

Lagti hai chott kaise, kinaroon se poochiye…

 

 

Tum Ko Kiya Khabar Janaa! Hum Udaas Logon Par,

Shaam Ke Sabhi Manzar Ungliyaan Uthaate Han…

 

 

Har Taraf Raah Main Thay Kaanty Bichay Huay,

Mujh Ko Teri Talab Thi, Guzarte Chale Gaye..

 

 

Tujhe dokhon sy na bacha pay agarcha teri mohabaton mai

na jany kitny maqam aye ke hum ny khud sy munafqat ki

 

 

Tery ranj,teri ankhey meri mohabaten mery pass hay

mai amanton ko idhar udhar nay kar raha

 

 

Tu agar khawab tha mera to bata

kuin meri neend sy baher nikla

 

Dhoka Shayari is poetry on people who are heartless and often ditch others. Dhoka Shayari in urdu is loved by pakistani people. So we have lost of Dhoka poetry for our visitors.

teri soorat sa kisi ki naheen milti soorat

hum jahan main ter tasveer lia phrtay hain

 

 

Garam joshi aur is qadar, kya baat hai…

kia tumhein mujh sey kuch shikayat hey

 

 

Wo bohat kuch jo kitabo may ny tha

 

wo chehron ki lakeero may pardha hy

 

Zindagi bhar mein rahe door jo ghairon ki tarah,

Laash par aaj wohi ashhk bahaney aaye,

Aese aalam mein bhi woh rooth ke jate hain shameem,

Dam-e-aakhir ko jo aaye to rulaney aaye…

 

 

Khalaf e maslahat me bhi samjata hon magar naseh,

Wo ate han to chehre par taghayar aa hi jata hai.

 

 

Khoon e dil se gull banana to bara asan hai,

Uss me jo khoshbo basi hai us ko bhi tasweer kar.

 

 

Teri nighah me ik rang e ajnabiyat tha,

Kis itabar pe hum khol ke guftago karte.

 

 

Taloqat ke barzakh me hi rakha muj ko,

Wo meree haq me na tha aur khelaf bhi na hoa.

 

 

Ab bhi baaki hai tumhare dil mein thora sa khaloos

Is se pehle bhi humain aksar yehi dhoka howa…

 

 

Mat Chor Mera Sath Tu Zindagi Mein Is Tra !!..dost..!!

Shayad Ham Zinda Hain Tumhary Hi Sath Rehny Say…

 

 

Rah_E_Wafa Me Sazaon Ko Kon Dekhy Ga,

Safar He Dhoop Ka Chaon Ko Kon Dekhy Ga,

Hum Apni Zid Pe Aye To Cheen LenGe Tuje,

Tere Shehar Ki Ghataon Ko Kon Dekhy Ga,

Bichar To Jayen Magar Phir Khayal Aata Hai,

Teri In Dilkash Aadaon Ko Koun Dekhy ga.

 

 

Mohabat ka Bharam Hota, to Phir kuch Soch kar Jaty,

Wagarna Zindagi Ban k Mery Hamdam Guzar Jaty,

 

Thaky Hary Prindon Ko Jo Dekha to Khayal Aaya,

Koi Jo muntazir hota tu hum bhi apny ghar jaty,

 

Main kha kar dard ki thokar abhi tak hosla mand hon,

ye thokar jo tumhain lagti,tu tum khud bhi bikhar jaty,

 

Is TANHAi ka hum pe bara Ahsan hai

"ROGI"

Na daiti sath ye apna tu jany hum kidhar jaty.

 

 

Ab hume ek lamha bhi aaram nahi teri yaadon se..

Jaane kab tak jiyenge tere es \'Kahar\' ke saath…!!

 

 

Mein Dil Pe Jabar KaruuNga, Tujhe Bhula Dunga….

Marunga Khud Bhi Tujhe Bhi KaRi Saza DuunGa….

 

 

"Kuch Khwab The Meri Ankhon Mein

Tujhe Pa Lene Ki Chahat Thi…….!

 

Chand Lafzoon Mein Hi Kehta Hu

Mujhe Tum Se Bahut Mohabbat Thi

 

Per Tum Kya Jano Chahat Ko……!

Tumhe Ho Jati To Poochta mai

 

Dil Jab Jab Toot Ke Rota Hai……… !

Kya Dard Tumhe Bhi Hota hai

 

Ye Khwaab Haqeeqat Ho Jaye

Kisi Apne Jaise Sang-dil Se…….!

 

"Tujhe Kash Mohbbat Ho Jaye"

 

 

Ik roz

 

Mila ke hath ik roz khud hi daman chura liya usne humse,

Wohi shakhs jo kabhi aaghosh mein sony ki zid kia krta tha

 

 

Tumhe maloom hai jaana k tum bhi Ek Qaatil ho,

Mere andar ka hansta hua insaan tumne maar dala ha

 

 

Wo mily ga to us sy poochin gay DOSTO

Kis kis ko abaad kiya hai mujhy barbaad kar k,,,,

 

 

Zamane bhar ney luta hai Faraz fareb-e-dosti day kr

agar tu saath day mera to sub se dushmani kr loon

 


Jab Laga Tha Teer Tab Itna Dard Na Huwa,

Zakham Ka Ehsas Tab Hua Jab Kamaan Dekhi Apnon K Hath Mai.

 

 

Kabhi to ki hogi suraj ne chand say mohabbat

Tabhi to chand mein daagh hay,

 

Mumkin hai ki chand ne ki hogi bewafai

Tabhi to suraj mein aag hay.

 


Chara ger cheekh uthey hosh na aaya pehron,,,

Mery seeny mein tera zakhm jo gehra dekha,,,,

 

 

Wo aay bhe meri kabar pe to raqeeb ke sath

Kon kehta hai ke musalmanon ko jalaye nahi jata..

 

 

Bohat farsooda lagte hain mujhe ab yaar ke kissey..

Gulo gulzar ki batain, lab o rukhsaar ke kissey..

 

Yahan sab ke mukadar mein fakat zakhm e judai hai..

Sabhi jhotey fasaney hain wasal e yaar ke kissey.

 

 

Rootha Agar Tujh Say To Iss Andaaz Say Roothoon Ga.

Teray Shehar Ki Matti Bhi Meray Wajood Ko Trsay Gi.

 

 

Teri Nigaah Bhi Iss Daur Ki Zakaat Hui….

Jo Mustahiq Hai Ussi Tak Naheen Pohanch pati …..

 

 

use ata he mere pyaar par ghussa

mujhe us k ghusse pe pyar ata he!!!!!!

 

 

jinhe devta samja tha haiwaan se badtar nikle,

jinhe samja tha manzil wo raste ka patthar nikle,

unki har khwahish hamari beaaburiyat thi,

un par hamare dare beasar nikle,

unke har badlaav ko nayi ada smja ,

is bhulave me hum margat ki dagar nikle,

jinke lafzo ko sanjoya dil me aaj tak,

chamkte paimaane me wo ik zahar nikle,

yakeen tha jin par khuda se adhik,

wo to hamari maut ka sabab nikle,

unka har teer chlta tha karne hame halaal,

tab se is dil par anginat kahar nikle,

aaj bhi unke intzaar me…. bheege bheege se hai nayan,

wo na jane kis gair-sang kidhar nikle..

 

 

Mein ek kitab ka wo safa hu 'usman

Jise barso phle ksi ne parh kr jala dala …

 

 

Yon rah-e-wafa ki saleeb par do qadam uthane ka shukria

Bara pur khatar tha yeh rasta tere laot jane ka shukria

Jo udaas hain tere hijr mein jinhe bojh lagti hai zindgi

Sar-e-bazam yon unhein dekh ke tere muskrane ka shukria

Teri yaad kis kis bhais mein mere sher-o-nagma main dhal gai

Teri yad ka muje yaad aane ka shukria,

Jo zamane bhar ka asool tha wo asool tu ne nibha dia

Yehi rasam tehri hai motabar muje bhool jane ka shukria

 


 

kuch aur tanhae ki shamein mera muqadar baneen

faraz

muj pagal me b to ik saey k hasool ka tha iztaraab

 

 

badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN

ke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN

 

tujhii pe Khatm hai jaanaaN mire zavaal kii raat

tuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN

 

bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne ko

to aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN maiN

 

Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekh

havaa-e-taazaa! tire saath chal rahaa huuN maiN

 

maiN Khvaab dekh rahaa huuN ke vo pukaartaa hai,

aur apne jism se baahar nikal rahaa huuN maiN

 

 

ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte

shaam ke vaqt safar kyaa karte

 

terii masruufiyateN jaante the

apne aane kii Khabar kyaa karte

 

jab sitaare hii nahiiN mil paaye

le ke ham shams-o-qamar kyaa karte

 

vo musaafir hii khulii dhuup kaa thaa

saaye phailaa ke shajar kyaa karte

 

Khaak hii avval-o-aaKhir thahrii

kar ke zarre ko gauhar kyaa karte

 

 

Vada to kar lete hai Nibhana Bhul Jate Hain

Laga k Aag Seene Me Bujhana Bhul Jate hain.

 

Bhulana To Aadat ho gayee hai logo ki.

Rulate hai phir manana bhul jate hain.

 

 

Ab zid pe aa gaye ho to ye kaam bhi kero

Khud ko humaray naam say badnaam bhi kero

 

Ye kaya k in ruton mein bhi qaid_e_ana ki zid

Barpa bahaar mein koi kohraam bhi kero

 

Aashiq ho ger to sabar k zindaan ko torr do

Ahl_e_jahan ki saazishen naKaam bhi kero

 

Tark_e_tal'luq ka maatam bohat hua

Tum thak gaye ho aao kuch aaram bhi kero… .

 


 

Koi lamha bhi kabhi laut kar nahee aaya

Woh shaks aisa gaya phir nazar nahee aaya

 

Wafa ke dasht mein raasta nahee mila koi

Siwayye gard-e-safar humsafar nahee aaya

 

Kisi chiraag ne poochi nahee khabbar meri

Koi bhi phool mere naam per nahee aaya

 

Pallat ker aane lagay shaam ke parinday bhi

Hamara subha ka bhoola magar nahee aaya

 

Humein yakeen hai Amjad woh wada khilaaf

Yeh umer kaise kategi agar nahee aaya ..!!

 

 

Tere shaher teri soch se nikal jaaon ga

Kisi udaas sham main dhal jaaon ga

 

Tu Ju muker gaya hay her baat se apni

Dekh lena aik din main bhi badal jaon ga

 

Mat dikha mujh ko apna pashemaan chehra

Jab k tu janta hay main pighal jaaon ga

 

Chahe lakh terpoon tere intzaar mein

Mat lout k ana main sambhal jaaon ga

 

Tera hona itna zaroori tou nahin hay

Main tou yaadon k khilonon se behal jaon ga

 


 

mujh sey baad-d-bahara'n nay ro ker kaha,

teri qismat bahaaro'n k qabil nahi,

 

teri dunya hay ashkon may dobi hoi,

teri aankhen nazaaro'n k qabil nahi,

 

meri kashti ko toofa'n ne bosy diay,

boli moj-e-talatum mujy deikh kar,

 

teri taqdeer may hain bhanwar hi bhanwar,

teri kashti kinaro k qabil nahi,

 

usney mehfil se mujko utha ker kaha,

meyra peecha KHUDA k liy chor do,

 

meri mehfil mein phir na aana kabhi,

ye muhabat k maaron k qabil nahi

 

 

Charagh hun kab say jal raha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye

Jo bujh gaya to sahar numa hun, mujhy duaon mein yad rakhiye

 

Jo bat ap keh na paye, meri ghazal mein bayan hoi hai

Main ap ka harf_e_mud'a hun, mujhy duaon mein yad rakhiye

 

Bohat he shaistagi say her lamha doobti ek sada ki surat

Main khilwat_e_jan mein bujh raha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye

 

Bala say ye rah_e_shauq meri na ho saki per tumhari khatir

Misal_e_naqsh_e_qadam bicha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye… .

 

 

Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai,

Tu Khafa Meri Kis Baat Se Hai,

 

Tu Bhi Na Uljha Kar Mujhse Is Tarah,

Jo Tu Achi Tarah Wakif Mere Jazbat Se Hai,

 

Main Kaise Ji Lon Tumse Rooth Kar,

Meri Har Saans Wabasta Teri Yaad Se Hai,

 

Mera Taluk Jura Hai Kuch Is Tarah Tumse,

Jaise Insan Ka Rishta Khud Apnay Ap se Hai……!!!!

 

 

yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise

saath chal mauj-e-sabaa ho jaise

log yuun dekh kar hans dete hain

tuu mujhe bhool gayaa ho jaise

ishq ko shirk kii hadh tak na badhaa

yuun na mil hamse Khudaa ho jaise

maut bhii aaii to iss naaz ke saath

mujh pe ehasaan kiyaa ho jaise

aise anjaan bane baithe ho

tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise

hichkiyaan raat ko aatii hii rahiin

tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise

zindagii beet rahii hai "daanish"

ek bejurm sazaa ho jaise

 

 

Kio Rakhun Main Apny Kalam Main Siyahi ?.

Jab Koi Armaan Dil Main Machalta Hi Nahi ?.

Na Jany Kio Sabi Shak Kertay Hain Muj Par ?.

Jab Sukha Gulaab Meri Kitabun Main Milta Hi Nahi ?.

Kashish Tu Bohat Thi Meray Piyar Main ?.

Magar Kiya Keru Koi Pathar Dil Piglta Hi Nahi ?.

Ager Khuda Milay Tu Us Se Apna Piyar Mangun Ga ?.

Par Suna Hay Wo Marney Se Pehlay Kisi Se Milta Hi Nahi ?.

 

 

Q bnaty ho mitti k ghar jinhen kal khud hi mitto ge

 

aj kehty ho hum se pyar hai tmhenen

 

kal humara nam tk bhool jao g

 

 

waqt aisi rawani main dhalta raha

 

main be khabar aisy hi chalta raha

 

kabhi hansta tha apny naseebon pe main

 

kabhi ander hi ander main jalta raha

 

kahin shikwy mily kahin thokren milin

 

choot aisi lagi k sanbhalta raha

 

usko pany ki khatie to sab kuch kia

 

wohi sang dil tha rasta badalta raha

 

 

kaha tha na main nazuk hun na tarash mujhy

 janun ne kar dia pash pash mujhy

 mujhy khabar karna jo mera nishan pao

 bohot dinon se hai apni talash mujhy

 

Dhoka Shayari is poetry on people who are heartless and often ditch others. Dhoka Shayari in urdu is loved by pakistani people. So we have lost of Dhoka poetry for our visitors.


Hum ne to wada kia tha wada nibhany k liye

 dil dia tha ik dil pany k liye

 unhon ne mohabat sikha di aur kaha

 humne to mohabat ki thi tumhen azmany k liye

 

 

vo jazbon ki tijarat thi ye dil kuch aur samjha tha

 usy hansany ki adat yhi ye dil kuch aur samjha tha

 kaha osny nai daunya basaty hain

 osy sujhi sharart thi ye dil kujh aur samjha tha

 

 

Samjha Lo Apne Dil Ko Pyaar Na Kare

Meri Fitrat Hai Bewafai Izhar Na Kare

Humse Paoge Dhoka Tum Yaad Rekhna

Pehle Hee Kahte Hai Koi Humara Aetbaar Na Kare

 


Ye Nahi Gam Ke Qasam Apni Bhulai Tum Ne

Gam Te Ye Hai Ke Raqeebon Se Nibhai Tum Ne

Koi Ranjish Thi Ager Tum Ko To Mujh Se Kehte

Baat Apas Ki Kiun Sab Ko Batai Tum Ne

 

 

Beetay Huwe Dinon Ko Bhulaya Nahi Jata

Jo Roo Rahay Hon Unko Rulaya Nahi Jata

Hasnay Walon Ko Rulana Aasan Hai

Lekin Ronay Walon Ko Kabhi Hasaya Nahi Jata

Apno Or Geroon Ko Bhulana Asaan Hai Lekin

Dil Todnay Walay Ko Bhulaya Nahi Jata

Umeed Ban Ke Log Zindagi Mai Atey Hain

Khawab Ben Ke Ankhon Mai Sama Jate Hain

 

 

Lamha Lamha Saansein Khatam Ho Rahi Hain

Zindagi Maut Ke Pehloo Mein So Rahi Hai

Us Bewafa Se Naa Poocho Meri Maut Ki Wajah

Woh To Zamaane Ko Dikhaane Ke Liye Ro Rahi Hai

 


Tujhe Ishq Ho Khuda Kare

Koi Tujh Ko Usse Juda Kare

Tere Lub Hansna Bhool Jaen

Or Teri Aankh Purnam Raha Kare

Usse Dekh Ke Tu Ruk Pare

Or Woh Nazar Jhuka Ke Chala Kare

Tujhe Hijr Ki Woh Jhari Lage

Tu Millan Ki Har Pal Dua Kare

Tere Khuwab Bikhrain Tooot Kar

Use Kirchi Kirchi Chuna Kare

Tu Nagar Nagar Phira Kare

Tu Galli Gallli Sada Kare

Tujhe Ishq Ho Phir Yaqeen Ho

Use Tasbeehon Pe Parha Kare

Main Kahoon Ke Ishq Dhong Hai

Or Tu Nahin Nahin Kaha Kare

 

 

 Dil Lagi Thi Usey Hum Se Mohabbat Kab Thi

Mehfil-e-Gair Se Un Ko Fursat Kab Thi

Hum Thay Mohabbat Main Lot Jane K Qabil

Us K Wadoon Main Wo Haqiqat Kab Thi?

 

 

mein bawafa tha is liye dhoka kha gaya?

shayad use talaash kisi bewafa ki thi?