Dukhi Shayari

Dukhi Shayari-Best of Shayari for sad persons only who have lost in love.

Dukhi Shayari
Dukhi Shayari


pyaar me dhokha khaya ho yaa use miss kar rahe ho to send this shayari to your beloved one to show your value.




Dukhi yaadein shayari poetry besstofshayari.blogspot.com
dukhi yaadein shayari poetry



Dukh ny Sukh ka Saans lia hai,
Kaash koi phir Yaad na Aaye…

Phir Na Karna Meri Gustakh Nigahaon Ka Gila,
Daikhye Aap Ne Phir Pyar Se Daikha Hai Mujhe..

Seekh liya hum nay bhi tark-e-Taluq kerna,
Mohabbat dety dety hum ny apni Qadar kho di!!!

Waqt sub kuch hi chheen laita hai,
Ye to phhir aik muskrahat thi…

Namaaz parhoon to dua mai haath uthati hoon,
Akailay mai hoon to faryaad kar leti hoon,

Hijar ki raaton mai, sisak sisak kay roh leti hoon,
Tanhayi kay dinon mai uss ki aik jhalak dekhnay ko taras jaati hoon,

Chalte chalte raahon mai uss ka rasta takti hoon,
Aik din insha’Allah humara hoga millan,
Iss umeed kay saharay dil behla leti hoon..

Dukh Bol Raha Tha Bilkul Us Ke Lehjay Mein,
Phir Mein Ne Kaha Mat Bol Piya Ke Lehjay Mein..

Mujh ko Thakne Nhi deta hai Zaroorat ka Pahaarr,
Mere Bache mujhe Boorrha Nahi Hone detay !!

Mere naseeb ka khel niraala ho gaya,
Ghar mera jalaa aur kahin aur ujala ho gaya…

Nikle jo janaza mera do phool gira dena,
Milne ki tamana ho toh kafan hata dene..

Wo Toot Chuka Tha Mohabbat Main,
Mgar Us Ko Mohabbat Se Koi Shikayat Nai Thi..

Mujhe Neend Ki Ijaazat Bhi Unki Yaadon Se Leni Parti Hai,
Jo Khud Aaram Se Soye Hain Mujhe Karwaton Mein Chhor Kar..!!!

Rah-e-muhabbat main ajab sa howa hai haal apna,
Na zakhm nazar ata hai na dard saha jata hai…

Bichadh K Tujh Se Ajab Wehshaton Ne Ghera Hai,
Udaas Rehtaa Hai Yeh Dil Bhi Janglon Ki Tarah…!

Talash kesy karen khusboon ke maskan ko
hawa bhi chup hy badan hy nidhaal apna bhi

Tareeki ke hath pay bait karny walon ka
suraj ki bas ek kiran sy ghut jata hy dam

Tujhe sy bhi mangny ko jee nay chaha apna
or tery pas sabhi kuch tha ata karny ko

in kay aajany sa jo munh par aajati hai ronaq
wo samjhtay hain kay beemar ki haal acha hai

tujh ko khabar naheen mgr ek sada loh ko
barbaad kar dia tera do dn k pyaar nay

anees dm ka bharoosa naheen thahr jao
charaagh lay kar kahan samnay hawa chalay

ada hai shart, bnaawat bhi ltf daiti hai
wo hud bhi rooth gaya hain mujhe hafa kar k

fna kay baad bay kasoon ko koon poochay ga
mgr aay bay ksi roya karay gi to mujh ko barsoon

naqsh-e-faryaadi hai kis ki shoohi tahreer ka
kaaghazai hai pairhan har paiker e tasveer ka

na jana kah dunia sa jata hai koi
bohat dair ki muharbaan aatay aatay

Kon is dil ki daikh bhaal kere
Rooz ik cheez toot jati he

ungliya aaj bhi ise soch me gum hain
kyse usne naye hath ko thama hoga

Tu bhi oron ki trah muj se kinara kar lay
Sari dunia se bura hun tery kis kaam ka hun

Bahla na dil, na teergii-e-shaame-gham gayii
Ye jaanta to aag lagata na ghar ko maiN

ye mujhay chain kyoun nahi parta
Aik hi sakhas tha jahan main kia..

Mat ho khafa samajh le musafir koi gareeb
Aa nikla he kisi ka pata poochta howa

Yoon toh mere khuloos ki Qeemat bhi kam na thi
Kuch log zar parast the doulat pe mar gaye

Dil ki awaargi nahi jati,
Aqal ki rok thaaam jari hy..

Tergi chor gay dil mai ujalay ke khatoot
ye sitary mery ghar ke toot ke beqar giray

Esy bardhy ke manzily raste mai bich gy
Esy gy ke phir na kabhi lotna howa

Ek pal ko teri yad ay tu mai sochta ho
Khwab ke dehshat may bhatka howa ahoo-n ho ga

Mangi Koi Wazahat Na Poochi Koi Daleel,
Dil Ne To Hadd Hi Kar Di Us Pe Aetbaar Ki..

Dukh De Kar Sawaal Karte ho,
Tum Bhi Janam ! Kamaal Karte ho..

Dekh Kar Puchh Liya haal mera,
Chalo Kuchh to Khayaal Karte ho..

Shehar -e- Dil me Ye Udaasiyaan Kaisi,
Ye Bhi mujh se Sawaal Karte ho ???

Marnaa Chaahain to mar nahi Sakte,
tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho..

Ab Kis Kis Ki misaal Doon tum Ko ?
Her Sitam Be-misaal Karte ho…..!!

Uski aankhon may koi dukh basa hai shayad,
ya mujy khud he veham sa howa hai shayad,

main ny pocha k bhol gaye ho tum bhi ?
pOnch kar aansu mjhy Usny kaha …”SHAYAD”

Hijar ki rat ajab rang hai pemane ka,
Dast e mekhwar me bujhata sa dia ho jaise.

Hum log hain saleet pe likhe hoe naseem,
Mitana pare ga agle sawalat k lie.

Wo is kamal se khela tha ishq ki bazi,
Me apni fatah samajhta tha maat hone tak.

Wo ae bazam me itna to meer ne daikha,
Phir us k bad charaghon me roshani na rahi,

Wo kar nahin raha tha meri baat ka yakeen,
Phir yon hoa k mar k dikhana para muje.

Najane kon sa aseeb dil me basta hai,
K jo bhi thehra wo akhir makan chor gea.

Najane kon si galion me chor aea hon,
Charagh jalte hoe khawab muskarate hoe.

Mila bhi to kahan us ka naam likhain ge,
Kitab e zeesat ka koi waraq bhi sada nahin.

Muj se kehta hai koi app preshan na hon,
Meri zulfon ko to adat hai preshani ki.

Meri bakarari rakhate hain wo,
Nikalta hai daam to nikalta rahe.

Mera haq hai gardash e jaam par mera haq hai kaif e daam par,
K charagh e mehfil e naaz me abhi jaal raha hai mera laho.

Muj ko bhi tehyar hai khad o khal pe apne,
Heran hai aina magar muj se ziada.

Lob o dehan bhi mila guftago ka fan bhi mila,
Magr jo dil pe guzari hai keh sakon bhi nahin.

Lote hain to wo gard masafat hai badan par,
Aina humen daikh k dhondula sa ho gea.

Log pochen ge fakeron ka thakana kia hai,
Tere qadmon ka pata de k guzar jaen ge.

Lakh rakhe gi chopa kar mosamon ki ankh se,
Dukh hawa ka zard paton par aayan ho jae ga.

Le gai hai sari khoshbo cheen kar thandi hawa,
Patian bikhari pari hain khak par mere lie.

Gulshan parast hon muje gull hi nahin aziz,
Kanton se bhi nibah kie ja raha hon me.

Kitni sadiyon se saleeb e azmaesh par hon me,
Kon hai jo lamha lamha azmata hai muje.

Kion doob sa jata hai sar e sham mera dil,
Soraj ko agr ghor se dhalte hoe daikhon.

Qareeb e rahguzar turbat ka hona bhi qiyamat hai,
Idher se jo guzarte hain tumhara naam lete hain.

Qarab hi kaam hai na dori hi ziada lakin,
Ajj wo rabat ka ehsas kahan hai k jo tha.

Faisal makalma tha hawaon ka phol se,
Wo shor tha k muj se suna kuch nahin gea.

Ghazal kahon kabhi sada se khat likhon us ko,
Udas dil k lie mashghale talash karon.

Ajeeb agg thi pheli hoi mere ghar me,
K jaal raha tha musalsal magar doan nahin tha.

Talab sohbae hasti k so abb aur kia ho gi,
Jinhain mohn se laga rakha hai wo khali piale hain.

Zaroratan bhi banate hain log kuch kirdar,
Kahaniyon ko meri jaan kahaniyan hi samaj

Zabat lazam hai magar dukh hai qeyamat ka faraz,
Zalim abb k bhi na roe ga to maar jae ga.

Sirf halat hi nahin badle,
Hosalon me bhi kuch kami si ai hai.

Subhah e noo naghma be lab hai magr ae dobati raat,
Mere hise me teri marisa khawani ai.

Shaid muje kis mor pe lai hai muhabbat,
Dunia se bhi naraz hon khod se bhi khafa hon.

Sheher me is se pehle na daikhi kabhi,
Wo udasi jawab tere jane se hai.

Samne rakh k tere tuj se chopaea gea hon,
Main tujhe aik hi pehlo se dikhaea gea hon.

Sub chandani se khosh hain kisi ki khabar nahin,
Phaya hai mahtab ka gardon k ghao par.

Safar me sath mera aur koi kia daita,
Hawa bhi meri taraf samne se ai hai.

Zinda reh lon kisi sorat to bari bat hai ye,
Warna jaan se to guzarna koi dushwar nahin.

Zindagi jabar e musalsal ki tarah kati hai,
Jane kis juram ki pai hai saza yaad nahin.

Zara to kam hoen tanhaian parinde ki,
Abb aik khof bhi is ashian me rehta hai.